Breaking News
Loading...
Friday, 6 March 2015

Best Lips Care In Urdu

20:52
kuch khawateen ke lips lipstick lagane ke baad intehayi khusk ho jate hain kuch khawateen ke lips par qudrati (naturally) tor par khushki hoti hai in ke honton par se chilke se utarte hain aise honton par lipstick lagane se pehle halka sa roghan badam honton par lagayain. Phir lipstick lagayain to is qadar khushki ka ahsaas na hoga.

1-Lips ki khushki dur karne ke liye rozana in par roghan badam malna faida mand hai. chand hi roz mein khushki dur ho jaye gi.

2-Baaz khawateen ke hont bare mote hote hain in ko patla karne ke liye mazu phal ka safuf lep karna chahiye lap banane ki tarkeeb yeh hai keh mazu phal kut pees kar nehayat bareek kar lein. Aur is mein lemon ka rus daal kar lep bana lein. Jo honton par lagane se thehar sake. Chuqandar honton ki surkhi ke liye behtareen cheez hai. qudarati lipstick hai is ke liye aik mufeed aur be zarar formula darj zeel hai

3-Chukandar ko cheel kar boil kar lein aur agar boil na karna chahain to na boil karein ab chukandar ke qatlon ko honton par malein qudarati rung aaye ga aur yeh is liye bhi mufeed hai keh naqis lipstick lagane se jo hont phat jayain ya in par jhurriyan par jayain who theek ho jate hain.

4-Lipstick lagana se pehle honton par badam roghan ya cold cream lagayain phir tissue ko num kar ke hoton mein le kar dabayain. Ab tissue se hont khushk karein is ke baad lipstick lagayain. Is se honton par lagi lipstick aik ajeeb si dilkash chamak aajati hai.
5-Honton ke make up ke liye mukhtalif shades ki lip stick istemaal ki jati hain baaz khawateen jab make up karti hain to lip stick lagane se in ke honton ke ird gird ka sara make up utar jata hai yahan tak ke thori ka bhi in ko maalum hona chahiye keh lip stick sirf honton par lagayi jati hai. who honton ko tissue se khushk kar ke lip stick lagayain.
6-Honton ko dilkash banana ke chehre ki tarah kayi qudrati tareeqe bhi hain. Jo behar haal chemical tareeqon se buhat behtar hain. Honton ko khushnuma aur dil kash banane ke liye darj zeel fruits istemaal karein. Apple, cheery, strawberry, sangtarah, malta, graph fruit, Aalu Bokhara, Injeer, khubani, nashpati 

7-Aaj kal khawateen make up ko tar-o-taza shaguftah rakhne ke liye face glamour istemaal karti hain. Jabkeh olive oil se barh kar koi qudarti face glamour nahi hai.
8-Tamatar, palak ka sag, chukandar, gajar(carrot) aur gajaron ka juice to lajawab hai, salad, walaiti lal muliyan, khira, kakri tarbuz.

9-zaafran khane se hont khubsurat hote hain. 

10-Arq-e-ghulab se hont dhone se hont surkh hote hain. 

11-Olive oil aur almond oil se yani honton par in roghanon ka halka sa masaj karne se honton mein dilkash aati hai.
12-Honton par eggs ki zardi ka lap karne se hont bare dil kash hote hain.

13-Honton par shehad ka mask karne se hont khubsurat hote hain. 

14-Aur honton mein dil kasha paida karne ka aik nadir noskhah darj zel hai.

Ande(eggs) ½ zardi
Olive oil 20 drops 
Cucumber juice 20 drops
Arq-e-gulab 20 drops
In tamam cheezon ko shishe ki piali mein daal kar khub phaitein yahan tak keh yakjan ho jayain phir in ko panch minute tak set hone dein. 

15-Hont arq-e-gulab se dho kar khushk kar lein aur phir honton par mandarjah bala ashya key ameze ka halka halka masaj karein is key bad 15 minute honton ko aise hi chor dein. Is arse mein koi cheez na khayain piyein. Phir neem garam pani se honton ko dho dalein.

1 weak bala naga aisa karne se hont gulab ki pankhariyan ho jate hain. Honton par doodh ki balayi bhi in mein dil kasha-o-dilfarebi paida karti hai.

0 comments:

Post a Comment

Infolinks

Pop Up

POP

 
Toggle Footer