Baray Masoom Jazbon Se
Wo Apnay Shokh Haathon Par
Wafa Ki Surkh Mehndi Se
Ussi Ka Naam Likhti Hai
Jisay Wo Piyar Karti Hai
Magar Wo Na Samaj Larki
Abhi Tak Ye Nahi Samjhi
Sapne Toot Jaayen To
Bohat Barbaad Karte Hain
Ye Ujhlay Rang Haathon Par
Kabhi Thehra Nahi Karte
Muhabbat To Haqiqat Hai
Koi Sapna Nahi Hota
Kisi Ka Naam Likhne Se
Koi Apna Nahi Hota....''
Tumhari Thi Shararat Mehndi Se Hatheli Pe Naam Likhna,
Aur Mujhe Ruswa Kar Diya Tum Ne Yunhi Khailte Khailte…
Kuch aur bhi jazboun ko be-naqab kia us ne
Zaid mehndi lage hothoun se adab kia us ne
Un ke hathoun pe mehndi ka hamain ye faida hua zaid
Ke raat bhar un ke chere se zulfain hum hatate rahe
Tumhari thi shararat mehndi se hatheli pe naam likhna
Zaid aur mujhe ruswa kardia tumne younhi khelte khelte
Zaid raat phir aae gi phir zehan ke darwaze par
Koi mehndi lage hathoun se dastak dega
Wo kehta he ke mere naam ki mehndi lagao
Main kehti houn lagao gi zaid agar tum le ke aae to
- See more at: http://kanwalmnci.blogspot.com/2015/03/nice-sad-poetry.html#sthash.LA3QpC3s.dpuf
0 comments:
Post a Comment