Wo Kahte Hai Suno, Jana Muhabbat Moom Ka Ghar Hai
Tapish ki Bad Gumani hai Kahin Pighla Na De Ais ko
Main Kehta Hoon k Jis Dil Main Zara B Badgumani Ho
Wahan Kch Or Ho To,Ho, Mohabbat Ho Nai Sakti
Wo Kehti Hai Sada Aisay He Kiya tum Mujh Ko Chaho Ge
Keh Main Ais Main Kami bilkul Gawara Ker Nai Sakti
Main Kehta Hoon Mohabbat Kiya Hai Yeh Tum nay shikaya hai
Mujhay Tum Say Mohabbat K Siwa Kuch bhi Nahi Aata
Wo Kehti Hai Judai Se Bohat Darta Hai Mera Dil
Keh Khud ko Tum Say Hat Ker Dekhna Mumkin Nai Hai Ab
Main Kehta Hoon Yahi Khadshay Buht Mujh Ko sata'te Hain
Mager Sach Hai Mohabbat Main Judai Saath Chalti Hai
Wo Kehti Hai Batao Kaya Mere Bin Ji Sako Gaye Tum?
Meri Baatien,Meri Yaadien,Meri Ankhien Bhula Do ge?
Main Kehta hoon Kabhi is Baat per socha nahi main ne
Ager ik pal ko b sochon tu saansien ruknay lagti hain
wo kehti hai tumhain mujh se mohabbat is qadr kyon hai
K main ik aam si larki tumhain q khas lagti hon?
Main kehta hoon kabhi khud ko meri ankhon say tum dekho
Meri deewangi kyon hai, yeh khud he jaan jao gi
Wo kehti hai mujhey warftgi say dekhtay kyon ho
keh main khud ko bohat qeemti mehsoos kerti hoon
Main kehta hoon Mata-e-jaan buht anmool hoti hai
Tumhien jab dekhta hoon, zindagi mehsoos hote hoon
wo kehti hai mujay alfaz k jugno nai miltay keh tumhien bata sakon
keh dil main mere kitni muhabbat hai
Main kehta hoon mohabbat tu Nighaon say jhalkti hai
tumhari khamoshi muj say, tumhari baat kerti hai
Wo kehti hai batao na kis ko khone se darte ho
batao kon hai wo jisay yeh mousam bulatay hain
Main kehta hoon yeh meri shayari hai aaiena dil ka
zara dekho !! batao kiya tumhien is main nazar aya?
Wo kehti hai Atif ji bohat baatain banatay ho
mager sach hai yeh batain bohat he shaad rakhti hain
Main kehta hoon yeh sab baatien yeh fasany ik bhana hain
keh pal kuch zindgani ke tumhare saath kat jaien
phir us k baad khamoshi ka dilkash raqs hota hai
Nagihaien bolti hai or lab khamosh rehtay hain...
0 comments:
Post a Comment