Breaking News
Loading...
Tuesday 3 March 2015

Mehandi Design Or Isteemalat In Urdu

20:56
                      
Is ke lagane se nakhun (nail) ka phatna ruk jata hai. Mehndi  (myrtle) ke patte (leaves) raat pani mein bhigo kar subah nichor kar is ka rus shakar (sugar) mein mila kar 40 din lagatar piya jaye to ye na sirf jazam ka ilaj hain balke zakhamon ko bhi mandal kar de ga. Aag se jale howae ka bhi behtareen ilaj hai. Is ko pani mein mila kar agar gharare kiye jaein to gale (throat), munh (mouth) aur zaban (tongue) ke tamam zakhamon ke leye mufeed hai. Is ka lep garam phoron aur sozishh ko kam karta hai. Agar is mein garam kar ke mom (wax) aur gulab ka tail mila kar sene ke eteraf aur kamar wale muqam par lep karein to dard jata rehta hai.
Chechak ke mariz ke peron ke talwon par agar Mehndi  (myrtle) subah sham lagai jaye to is ki aankhein bimari se mehfoz rehti hain aur chechak ke abble jald khushk ho jate hain. Agar is ke patte (leaves) garam kapron mein rakhe jaein to un ko kira nahi khata. Mehndi  (myrtle) ko agar nakhunon (nails) par baqaidah lagaya jaye to in ko chamakdar aur khubsorat banati hai. Peron par lagane se in ki jild naram hoti hai aur tangon ki punsiyan mandal ho jati hain. Wo nakhun (nail) jo chot lagne se siyah par jaye ya phaphondi lag jane se matroom ho jaye, is par Mehndi  (myrtle) lagane se naya nakun saaf aur khubsorat nikalta hai.
Mehndi  (myrtle) ka phool songhne se garmi se hone wala sar dard jata rehta hai. Mehndi  (myrtle) ke phoolon ko kisi tail ka roghan e zetoon (olive oil) mein mila kar dhop mein rakh kar halki aanch par paka kar mehnadi ka tail taiyar kiya jata hai jis ki malish se pathon ki akran jatai rehti hai. Mehndi  (myrtle) ke patton ko raat bhar pani mein bhigo kar subah is ka pani shakar (sugar) mein mila kar yarqan ke mariz ko dena mufeed hai. Isi pani ke pene se barhti hoi tili bhi kam ho jati hai.
Mehandi Ka Rang.
Mehndi  mein rang ki mujodgi se logon ne khizab ka kaam lene ki koshish is leye bhi ziyadah ki hai ke dore hazir mein milne wale khizabon mein paya jane wala rang kasrat e istemal se jild ka sartan (cancer) paida karne ki ahaliyat rakhta hai. Mehndi  ke patton ko sabun ke pani mein hal kar ke sar par lagaein to sar ke bal siyahi mail ho jate hain.
Mehndi  mein chai ki patti aur coffee mila kar ise chini dalkar ubalein aur is mein tezabiyat paida karne ke leye lemo (lemon) ka arq ka sirka (vinegar) mila kar istemal karein is nuskhe mein sab se bari baat ye hai ke Mehndi  aur sirka (vinegar) girte balon ka ilaj bhi hain aur in ke lagane se sar se sikri (bafa) bhi khatam ho jati hai. Mehndi  behtareen masfi khoon hai.
Mehndi  ke patton ka joshandah peat ke alsar mein faidahmand hai, ye jaryan mein bhi mufeed paya gaya hai. Is ke elawa masana mein garmi aur jalan mein bhi faidah deta hai. Mariz ke takkiye (pillow) mein agar Mehndi  ke patte bhar deye jaein to use jald aur achi nend aati hai. Mehndi  ke pholon aur patton se nikala howa tail ya un ka joshandah korh ki ibtedai sorat mein mufeed hota hai.
- See more at: http://kanwalmnci.blogspot.com/2015/03/mehandi-design.html#sthash.B3MxgqkB.dpuf



0 comments:

Post a Comment

Infolinks

Pop Up

POP

 
Toggle Footer