Breaking News
Loading...
Thursday 5 March 2015

Poetry Of Faraz In Urdu

20:29

Wafa ki qadar toaj bhe bohat hai"Faraz"
Faqat mit chukay hay toot kay chahnay walay..

Aik pal Mai Jo barbad kr dyty hain dil ki basti
Vo log dekhny Mai aksar masoom hoty hain.

Rat bhar Girte RaheyUn par Mere Ansoo
Subha Hote hi Wo bolay k Raat Shabnam bhot Thi

Jism Uska Bhi Mitti Ka Hai Mujh Jesa
        FARAZ
Phir Mera Hi Dil Uska Talab-Gaar Kiu Hai.

Apni wafa ka itnaa deewana na kar FARAZ,
Mein ne rooh ko jism se bewafaai kartey dekha hai.

Dastan E Wafa Bus Itni Si Hy "Faraz"
Us Ki Khatir Ussi Ko Chor Diya….!

Kiss Qadar Masoom Sa Lehja Tha Un Ka "FARAZ"
Dheere Sey Jaan Keh Kar Humein Bejaan Kar Gaya.

Meri palkon ka ab neend sy koi wasta nai" Faraz"

Mera kon hai is duniya main, isi soch main raat guzr jati hai.

Kisi Se Juda Hona Agar Itna Asan Hota Faraz

Tu Jism Se Roh Ko Lene Kabi Farishte Nahi Aate...

Her shab wo mere khabon mein chala aata hai…
khwahish hai jis sey mujhe haqiqat main milne ki…

Tum Takaluf KO Bhi Ikhlas Samajtay Ho Faraz
Dost Hota Nahi Her Hath Milanaay Wala.....

Us ne mjy chor diya to kya hua _FARAZ_....
Main ne b to chor dia tha sara zmana us k liye...

Jis ko bhi dekha rote howe dekha “Faraz”
ye muhabbat kisi faqeer ki bad’dua lagti hai...

Waqt-e-Qudrat Le Aaya Hy Aaj Humain Us Jaga Pe "Faraz"
Chal Diye Usi Mitti Main Jis Ki Hum Amanat Thay....

0 comments:

Post a Comment

Infolinks

Pop Up

POP

 
Toggle Footer